How To Change Blogger Template
Hello dosto namste..
To dosto jaisa ki aapko pta hai mene pichli post me bataya tha ki blogger kon hai , blog kya hai ' kese krte hai blogging.
Or aaj ham janenge ki Blogger me template kese change krte hai.
Mtlb ki blog ka template kese upload krte hai ya kese badlte hai ya fir phle jaisa kese add krte hai template or seo (ssearch engine optimiser) kese banate hai.
• Sab se phle ye jaan lete hai dosto ko template hota kya hai?
What is template:----
Dosto template ko aap blog ki aatma maan skte ho kyu ki template ke bina blog ka koi mtlb nhi hai.
Ak accha template blog ko hamesha aacha look deta hai use seo banata hai taki logo ko help mil skte.
Mere kahne ka mtlb ye hai dosto ki maan lijiye aap post likh the hai aapke blog par bahut acchi acchi post lekin wo post aapke blog visitor tak sahi se nhi phuch pati uska jimmedar aapke blog ka template hoga Dosto.
Isko hi template kahate hai.
Jab mai blogging me aaya to muje bhi nhi pta tha dosto ki template kya hai lekin dhire dhire knowledge aati gyi or sikh gya ki template kya hai or blogger me iska kya importance hai or ise kaise badla jaa skta ha.
Template ek coding language hoti hai dosto jise web designer apne apne tarike se banakar publish krte hai.
Jab aap blogger par blog bnaate hai to blogger ki taraf se aapko bhaut saare template free diye jaate hai.
Unka use aap blog me kr skte hai.
Lekin aapne zada tar bloggers ko dekha hoga ki wo blogger dwara diye gye Template ko use nhi krte.
Yha mai ye nhi bol rha ki wo template acche nhi hai lekin unko koi pro bloggers use nhi krta
Iska mtlb kahi na kahi wo sahi nhi hai.
Free Template download krne ki bahaut se site hai dosto jaha se aap acche se acche Template aapke blog ke lie le skte hai.
Aisi ki site ke baare me mai aapko agli post mai bataunga.
.Aapko Pta Hi Hona Chahiye Dosto Ki Ek Accha Template Hamesha Traffic Lata hai Blog par.
. Chaliye Jante hai ki aap kaise blog me Template change kr skte hai.
1. sabse phle aap blogger par login kijiye.
2. Login krne ke baad side me Template likha hoga waha click kriye, ak popup open hogi
Upr likha hoga backup&restore.
Note-- Dosto Agr aap chahte hai ki aapke blog par jo old Template tha use aap dobara aapke blog par lagana chaho to uske lie aapk Template ka backup le le taki baad me koi problem na aaye.
3. Backup&Restore par click krne ke baad ak window open hogi waha pe aapko jo Template upload krna hai , jo ki xml file format me hota hai
Select kre or upload kr de.
Or save kr de.
4.kuch der me aapka Template ready ho jayega dosto
Ab aap aapke blog ko dekh skte hai or apne hisaab se or bhut kuch Template me edit kr ke aapke blog ko accha look de skte hai.
Agali post me mai aapke kuch behtreen site batunga jaha se aap acche achhe Template download kr skte ho jinka use successful blogger krte hai.
Islie keep visiting my dear friends.
Agr aapko koi problem aati hai to aap comment kr ke puch skte hai dosto.
Comments
Post a Comment